SANGHARSH KAA SAAHAS




Apne paron par na karo guroor parindon
Baadlon me urna hamain bhi aata hai
Apne sthan ka na karo gumaan sitaaron
Aasman ko chhoona hamain bhi aata hai!

Haalaat kare sitam, kadam ruk nahin sakte
Kudrat ke aage bhi ham jhuk nahin sakte
Kewal aasmaan me hi nahi hote faisle
Takdeer badalna hamain bhi aata hai!

Anhoni hoti hai to hoti rahe
Khushiyan khoti hai to khoti rahe
Waqt karta rahe waar, baar-baar
Har chot ko jhelna hamain bhi aata hai!

Chun-chun kar sapno ko choor kar lo
Har hamdard ko dil se door kar lo
Shaukh se le lo sabr ka imtihaan
Har shok se ubarna hamain bhi aata hai!

Insaano ko kathputli samajhne wale
Ungaliyon pe nachaana hamain bhi aata hai!


Haadson se kah do ki hadd me rahe
Hadd se gujarna hamain bhi aata hai!

Comments

Samagra saahas ka samundra aapki ye rachna mere man ke taar ko jhankrit kar gai.Ab sangharsh ki samapti sambhav hai.
jaari rakhane ke nivedan ke saath

bahut saari shubhkamanaye with Thanks.

Sanjay sharma
http://maaydivyadrishti.blogspot.com

Popular posts from this blog

I CAN NEVER THANK YOU ENOUGH !!!!

Coffee...........

Fathers Are Wonderful People