AAMANTRAN



Rangeen ho gaya hai chand
Sitaron se khushboo aati hai!
Ambar ki ye anokhi fulwaari
Dheeme se hamain bulaati hai!

Raat ka ye anupam saundarya
Aur aakash ka aseemit shaurya
Asankhya khwahishon ko jagaati hai!
Rangeen ho gaya hai chand
Sitaron se khushboo aati hai!

Khwaabon se bhi haseen ye manjar
Hasrat se taakti hai nazar
Chandni dulhan si nazar aati hai!
Ambar ki ye anokhi fulwari
Dheeme se hamain bulaati hai!

Magar hamne aasmaan ka aamantran taala,
Jab apni dharti pe nazar daala!
Maana ki upar chand–taaron ki khaan hai


Magar….


Neeche hamaari jaan Hindustan hai!!


Comments

Popular posts from this blog

I CAN NEVER THANK YOU ENOUGH !!!!

Coffee...........

COME AGAIN !!!