DEEP PYAAR KA




Deep ek pyaar ka


Na jal rahaa....na bujh rahaa!


Kya karoon andhkaar ka


Jo chubh rahaa...hai chubh rahaa!


Maun dishaayen dekh rahi


Kis or jaaun main


Chalun jis raah pe bhi


Tujhko hi paaun main


Aage peechhe path hazaar


Par tu hi manzil ka dwaar


Kya karoon tere pyaar ka


Na nibh rahaa...na chhoot rahaa!


Deep ek pyaar ka


Na jal rahaa...na bujh rahaa!


Kabhi lau tum sambhaalo


Kabhi lau main sambhaalun


Jalti-bujhti raushni me


Tum mujhe, main tumko paa loon


Magar maun sadaa atoot rahaa


Zeevan haath se chhoot rahaa


Dhaaga wo ikraar ka


Na jud rahaa..na toot rahaa!


Deep ek pyaar ka


Na jal rahaa...na bujh rahaa!


Aati- jaati saanson ke sang


Aas aati- jaati rahi


Apne man ki uljhan


Khwabon me sunaati rahi


Khaamosh lab, khaamosh nayan


magar kaayam rahaa man ka bhram


Waqt beeta izhaar ka


Main chup rahi...tu chup rahaa!


Deep ek pyaar ka


Na jal rahaa...na bujh rahaa!

Comments

nice poem... this kind of writing only happen with a great and emotional soul. I read all ur poems, all of them touchs me. thanks.

Popular posts from this blog

I CAN NEVER THANK YOU ENOUGH !!!!

Coffee...........

COME AGAIN !!!